Thursday, 22 March 2012

Kitni naadan hai tu pagli , dil ki dhadkanon ko SHOR samajhti hai.






Kitni naadan hai tu pagli , dil ki dhadkanon ko SHOR samajhti hai.. 
Kabhi sunn tanhaaiyon ke aalam mein, ke har ek dhadkan mein goonjhta hai tere naam ka sur.. 
Meri AANKHEIN mehez duniya ke nazaare dekhne ke liye nahin, 
Arey pagli yeh toh aaina hai teri ROOH ka, jismein qaid hai teri har acchai, har sharaarat...
 Yeh mera JISM toh mehez ek mitti ka bana bejaan putla hota, agar
 ismein basi ROOH ke dhaage naa bandhe hote teri ROOH ke reshmi dhaagon se..

Ae SANAM meri ROOH teri ROOH KE bina ek toota huwa SHEESHA hai, jismein AKS toh dikhta hai, par bikhra bikhra !!

AA MERI JAAN, TERI ROOH KO IS TARHA SE APNE SEENE SE LAGA LOON KE 
KHUDA BHI JAB HUMEIN JUDAA KARNA CHAAHE...
.TOH DONO BIKHAR KAR APNA WAJOOD KHO BAITHEIN

No comments:

Post a Comment