Kissi Ki Ankh Se Sapney Chura Ker
Kuch Nahi
Milta
Mandeiron Se Chiraaghon Ko
Bhuja Ker Kuch
Nahi Milta
Koi Ik Adha Sapna Ho Tou Ho ,
Acha Bhi Lagta
Hai
Hazaron Khawb Ankhon Mein Saja
Ker Kuch
Nahi Milta
Issay Kehna Ke Palkon Per Na
Tanke Khawbon
Ke Jhalar
Samandar Ke Kinare Ghar Bana
Ker Kuch Nahi
Milta
Yeh Acha Hai Ke Apas Ke Bharam
Na Tootne
Payen
Kabhi Kabhi Doston Ko Azma Ker
Kuch Nahi
Milta
Mujhe Aksar Sitaron Se Yehi
Awaaz Aati Hai
Kissi Ke Hijr Mein Neendein
Ga’nwa Ker Kuch
Nahi Milta
Jigar Ho Jayega Chalni Yeh
Ankhein Khoon
Royengi
Wasi Be Faiz Logon Se Nibha Ker
Kuch Nahi